kar ke mashur mujhe chashm-e-karam se pahle kar diya mohr-ba-lab us ne sitam se pahle ek hamin ko nahin nakaami-e-qismat ka gila na-murad aur bhi kuchh guzre hain hum se pahle main khatawar hun lekin meri taqsir muaf aah kab munh se nikalni hai sitam se pahle tu ne gham de ke mujhe daulat-e-duniya de di zindagi aisi kahan thi tere gham se pahle pesh hai marhala-e-sakht khuda khair kare but-kada rah mein padta hai haram se pahle koi samjha na haqiqat ke rumuz-o-asrar koi pahuncha na teri bazm mein hum se pahle qafile bhatke hue manzil-e-maqsud se the band thi rah mere naqsh-e-qadam se pahle khel samjha tha magar tark-e-mohabbat ai 'saif' ghaur anjam pe karna tha qasam se pahle