wo abr saya-fagan tha jo rahmaton ki tarah kise khabar thi nawazega bijliyon ki tarah us inqalab ki dastak sunai deti hai jo bastiyon ko mita dega zalzalon ki tarah mila hai wo to laga hai janam janam ka rafiq bichhad gaya tha jo bachpan ke sathiyon ki tarah meri hai pyas jo sahra-ba-lab, sharar-ba-zaban tumhaari aankh hai gahre samundaron ki tarah main us ke qurb ki khushbu se ban gaya hun gulab wo mere pas chahakti hai bulbulon ki tarah sitam-zarif jajon ne hai 'saif' jhuthlaya hamare khun ko jhuti shahadaton ki tarah