kar ke qaul-o-qarar kya kahna o faramosh-kar kya kahna ho ke nadim gunah se pak hua wah re sharmsar kya kahna kaam bigde tu hi banata hai ai mere kirdgar kya kahna khub tu ne suni lagi dil ki wah re gham-gusar kya kahna din ko tare dikha diye tu ne ai shab-e-intizar kya kahna khak mein bhi mila ke ai zalim na kiya eatibar kya kahna dil-e-hasrat-zada raha na raha us ka qaul-o-qarar kya kahna us se haal-e-gham-e-dil-e-mazlum jo na ho sharmsar kya kahna ba-wafai bhi teri ai dil-e-zar rah gai yaadgar kya kahna na sune ek bar jo dil ki us se phir bar bar kya kahna khum ke khum 'shauq' kar diye khali ai mere baada-khwar kya kahna