raat aai hai balaon se rihai degi ab na diwar na zanjir dikhai degi waqt guzra hai pa mausam nahin badla yaro aisi gardish hai zamin khud bhi duhai degi ye dhundlaka sa jo hai is ko ghanimat jaano dekhna phir koi surat na sujhai degi dil jo tutega to ek tarfa charaghan hoga kitne aainon mein wo shakl dikhai degi sath ke ghar mein tera shor bapa hai 'anwar' koi aaega to dastak na sunai degi