kar liya mahfuz khud ko raegan hote hue main ne jab dekha kisi ko bad-guman hote hue maslahat-koshi meri fitrat mein shamil hi na thi dhup mein jhulsa kiya main saeban hote hue rafta rafta raunaq-e-bazar badhti hi gai waqt ke chehre pe zakhmon ke nishan hote hue gar yunhi jari raha us ke sitam ka silsila tut jaunga main ek din sakht-jaan hote hue khushk honton ke sahaare mujh ko pahchana gaya bazm-e-saqi mein hujum-e-tishnagan hote hue us ke ji mein jo bhi aaya wo mujhe kahta raha aur main khamosh tha munh mein zaban hote hue dekh kar khud apni surat sakht hairani hui jab main guzra aainon ke darmiyan hote hue mahw-e-hairat ho ke 'nazir' dekhta hi rah gaya lamha lamha apni sanson ka ziyan hote hue