apne ghar ko wapas jao ro ro kar samjhata hai jahan bhi jaun mera saya pichhe pichhe aata hai us ko bhi to ja kar dekho us ka haal bhi mujh sa hai chup chup rah kar dukh sahne se to insan mar jata hai mujh se mohabbat bhi hai us ko lekin ye dastur hai us ka ghair se milta hai hans hans kar mujh se hi sharmata hai kitne yar hain phir bhi 'munir' is aabaadi mein akela hai apne hi gham ke nashshe se apna ji bahlata hai