kar-zar-e-dahr mein kya nusrat-o-gham dekhna ek bas apna alam aur apna parcham dekhna is tilism-e-asr-e-hazir se jab aankhen jal uthin dur jalta ek charagh-e-ism-e-azam dekhna muntazir hain raston par hadse chalte hue khol rakhna apni aankhen aur kam kam dekhna chand tare aur jugnu aur mera rang-e-hunar yani us ko yaad karna us ko paiham dekhna hijr ki pur-soz raaten kis tarah aabaad hon shad hun shadab hun ai mere hamdam dekhna