phir aa gai ek but pe tabiat ko hua kya talti hi nahin sar se musibat ko hua kya mahrum phir aaya dar-e-mai-khana se waiz rindan-e-qadah-khwar ki himmat ko hua kya maqbul-e-dua ho na asar aah-o-fughan mein is daur mein tasir-e-mohabbat ko hua kya is husn-o-latafat pe kya sang-dil aisa hairat mein hun allah ki hikmat ko hua kya jage to koi anjuman-e-ghair mein shab bhar aur chhai mere munh pe nadamat ko hua kya danista naqab ulte hue hain sar-e-bazar aur us pe ye kahte hain ki khilqat ko hua kya lo hum to chale kausar o tasnim pe zahid tum yunhi kahe jao ki rahmat ko hua kya 'mail' nahin kya aur zamane mein ilahi mujh par hi utarti hai ye aafat ko hua kya