karam ka aur hai imkan khule to baat chale is iltifat ka unwan khule to baat chale kis intizar mein thi ruh-e-khud-numai-e-gul baras ke abr-e-bahaaran khule to baat chale kuchh ab ke hum bhi kahen us ki dastan-e-visal magar wo zulf-e-pareshan khule to baat chale jafa ye silsila-e-sad-hazar-unwan hai qamis-e-yusuf-e-kanan khule to baat chale safar hai aur sitaron ka ek bayaban hai musafiri ka bhi imkan khule to baat chale tilism-e-shewa-e-yaran khula to kuchh na hua kabhi ye habs-e-dil-o-jaan khule to baat chale sulag raha hai ufuq bujh rahi hai aatish-e-mahr rumuz-e-rabt-e-gurezan khule to baat chale