juyan-e-taza-kari-e-guftar kuchh kaho

juyan-e-taza-kari-e-guftar kuchh kaho
tum bhi hue ho kashif-e-asrar kuchh kaho

shisha kahin se lao sharab-e-farang ka
baqi jo thi hikayat-e-dildar kuchh kaho

jaane bhi do taghayyur-e-alam ki dastan
kis haal mein hai nargis-e-bimar kuchh kaho

baadal uthe hain chashmak-e-barq-o-sharar hai
munh dekhte ho surat-e-diwar kuchh kaho

mutrib ko taza bait sikhao hua hai narm
guzre kisi tarah to shab-e-tar kuchh kaho

thahra hua hai wadi-e-gham mein ramida waqt
samjho bhi kuchh nazakat-e-bisyar kuchh kaho

zinda-dilan-e-shauq ne rakkha bahaar nam
ek mauj-e-khun gai sar-e-gulzar kuchh kaho

aaghaz har taghayyur-e-alam ki had hua
us ki gali ka saya-e-diwar kuchh kaho

uljhega aaj ji ki hawa pech pech hai
banta nahin koi rukh-e-guftar kuchh kaho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close