karb ke sahra se guzra jab bhi diwana koi muskuraya shakh-e-nazuk par chaman-khana koi mausam-e-barsat hai aur wajd mein hain lala-zar dushmanon ke war se chhalka hai paimana koi raat bhar roti rahi be-sud sham-e-arzu jab sar-e-mahfil chala aaya hai parwana koi ajnabi basti ke logon se zara nazren mila mil hi jaega yahan bhi jaana-pahchana koi ai dil-e-'mani' yunhi manzil kabhi milti nahin rah-e-ulfat mein diya karte hain nazrana koi