ai asiran-e-tilism-e-shab-e-gham so jao sham-e-ummid ki lo ho gai kam so jao chand-taron ki chamak ho gai kam so jao sarhad-e-subh mein hain shab ke qadam so jao ab na jago kisi guzri hui shab ki yaado tum ko hum jagne walon ki qasam so jao bujh gai shama bhi parwane bhi dam tod chuke un ke aane ki ab ummid hai kam so jao dabdabai hui aankho tumhein ashkon ki qasam khul na jae kahin ulfat ka bharam so jao gham ke maron ko sukun milta hai maikhane mein jao chhedo na hamein shaikh-e-haram so jao dil dhadakne ki bhi aawaz hai sakit 'mahir' ab nahin koi sharik-e-shab-e-gham so jao