karb se bharne ko jab aai meri raat ki aankh

karb se bharne ko jab aai meri raat ki aankh
ek suraj ne uthai phir inayat ki aankh

meri har baat se baaton ka ziyan hota tha
us ki khamoshi ne kholi thi meri baat ki aankh

muntazir lamhe mere so gae girya kar ke
jaane kis roz khule un ki mulaqat ki aankh

hae un aankhon ke aansu magar un se bachna
dekhna kachche makanon pe hai barsat ki aankh

jab kabhi hanste hue dikhne ki khwahish kar lun
ghurne lagti hai anjaane se khadshat ki aankh

jagne wale khuda ab to meri jaanib dekh
dekh ab lagne lagi meri munajat ki aankh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close