karbala ka rasta raushan hua phir lahu ka marka raushan hua kaun tha aakhir wo jis ki zat se zindagi ka zawiya raushan hua jazba-e-isar-o-qurbani ke nam khak-o-khun ka silsila raushan hua bare tujh pe ai furaat-e-be-karan tishnagi ka martaba raushan hua munhadim hone lagi diwar-e-jaan jism ka zulmat-kada raushan hua qadghanen jitni lagain waqt ne dil-zadon ka hausla raushan hua 'naz' ka aahang-e-taza dekhna fikr-o-fan ka daera raushan hua