usi ka zikr kahani se iqtibas rahe wo har ghadi jo mere waste udas rahe ye us ka qurb mujhe ishq ki ata se mila wo dur jae magar mere aas-pas rahe tarah tarah se mujhe tu bichhad bichhad ke mila tarah tarah ke mere zehn mein qayas rahe tumhaare gham ke siwa aur koi gham bhi na tha tumhaare dard mere dard ki asas rahe wo kitne naz se kahne lage 'rabab' agar udas rahne lagi hai to phir udas rahe