karega yaad hamein dur hum agar jaen is ishtiyaq mein ji chahta hai mar jaen ye kah raha tha hamein dubta hua suraj safar tamam hua apne apne ghar jaen tulua-e-shams ki kirnon ne ye payam diya ujale bantte jaen jidhar jaen dikhate hain jo hamein aaina kabhi us mein khud apne aks ko dekhen to aap dar jaen na par lagne ki hasrat na dub jaane ka gham khayal-e-yar ke dariya mein jab utar jaen ye ghaw hi to meri zindagi hain mere tabib khayal rakh ye mere zakhm hi na bhar jaen