tere khayal ne ehsan la-jawab kiya nafas nafas ko mere waqf-e-iztirab kiya adu ka harf-e-malamat bana meri shohrat usi ne khak ke zarre ko aaftab kiya teri nazar ko nazar lag na jae duniya ki bhare jahan mein jo mera hi intikhab kiya qadam qadam pe rahi justaju-e-nam-o-numud isi hawas ne hamein umr-bhar kharab kiya azal ke din se andhere mera muqaddar the teri nazar ne mujhe rashk-e-mahtab kiya gila kiya tha taghaful ka 'chand' kyun us se tujhi ko ashk-e-nadamat ne aap aab kiya