karenge qasd hum jis dam tumhaare ghar mein aawenge jo hogi umr bhar ki rah to dam bhar mein aawenge agar hathon se us shirin-ada ke zabh honge hum to sharbat ke se ghunt aab-e-dam-e-khanjar mein aawenge yahi gar josh-e-girya hai to bah kar sath ashkon ke hazaron para-e-dil mere chashm-e-tar mein aawenge gar is qaid-e-bala se ab ki chhutenge to phir hargiz na hum dam-e-fareb-e-shokh-e-ghaarat-gar mein aawenge na jate garche mar jate jo hum malum kar jate ki itna tang ja kar kucha-e-dilbar mein aawenge gareban-chaak lakhon hath se us mehr-e-talat ke ba-rang-e-subh-e-mahshar arsa-e-mahshar mein aawenge jo sargardani apni tere diwane dikhaenge to phir kya kya bagule dasht ke chakkar mein aawenge 'zafar' apna karishma gar dikhaya chashm-e-saqi ne tamashe jam-e-jam ke sab nazar saghar mein aawenge