na kashti hai na fikr-e-na-khuda hai dil-e-tufan-talab ka aasra hai ilahi khair namus-e-wafa ki unhen bhi fikr-e-namus-e-wafa hai subuk-saran-e-sahil jaante hain dil-e-sahil mein kya tufan bapa hai nahin ye naghma-e-shor-e-salasil bahaar-e-nau ke qadmon ki sada hai farogh-e-mah kya aur kahkashan kya ye mere mah-e-nau ki khak-e-pa hai zamane ki ghulami ham-nafas kyun zamana aadmi ki khak-e-pa hai shikayat-ha-e-soz-e-tishnagi kyun abhi 'saghar' dar-e-mai-khana-wa hai