karishma kya na hua baat kaun si na hui

karishma kya na hua baat kaun si na hui
magar charagh tale raushni kabhi na hui

koi bhi chul to sidhi nahin mili us ki
tera mizaj hua biswin sadi na hui

wo pyas thi ki hum apna lahu bhi pi jate
ye ittifaq tha us samt fikr hi na hui

jo kaam hath mein hum ne liya sire na chadha
jo baat soch ke tum hans diye kabhi na hui

salam-e-shauq har ek raat ki zaban pe tha
sharik-e-haal magar koi raat bhi na hui

nigal gaya use mera mizaj-e-tira-shabi
wo chand hi tha magar us se chandni na hui

us aakhiri tag-o-dau ka bhi hashr dekh liya
khushi se mil ke bhi 'hairat' koi khushi na hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close