karishma-saz-o-sarapa-bahaar hai ki nahin

karishma-saz-o-sarapa-bahaar hai ki nahin
shabab-o-husn-e-ghazal ba-waqar hai ki nahin

khizan ka daur sahi ye batao ahl-e-chaman
yaqin-e-amad-e-fasl-e-bahaar hai ki nahin

baja ki mai-kada viran hai masjiden aabaad
rais-e-shahr bhi parhez-gar hai ki nahin

zaban khatib ki mazmun rais-e-shahr ka hai
namaziyon pe ye raaz aashkar hai ki nahin

nigah chahiye tahlil-o-tajziye ke liye
khizan ka daur nawed-e-bahaar hai ki nahin

hamara mazi-o-hazir bhi ek muamma hai
bahaar thi ki nahin thi bahaar hai ki nahin

ghazal to kahte hain sab hum magar ye dekhte hain
wo karb-e-asr ki aaina-dar hai ki nahin

hijab mane-e-jalwa sahi nawed bhi hai
khizan naqab-e-nigar-e-bahaar hai ki nahin

madar bakhshish-o-pursish ka hai niyat pe 'naim'
umid-e-rahmat-e-parwardigar hai ki nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close