kabhi sarsar hai kabhi baad-e-saba hai saqi zindagi silsila-e-bim-o-raja hai saqi na kudurat hai kisi se na gila hai saqi main ne khud apne muqaddar ko likha hai saqi apne mahaul mein shamil hun main auron ki tarah mere jine ka magar taur juda hai saqi mera chehra mere jazbaat ka akkas nahin mera dil dekh jahan hashr bapa hai saqi kuchh kahen ahl-e-khirad fikr nahin hai mujh ko mere aamal khuda dekh raha hai saqi mufti-o-mohtasib-o-waiz-o-qazi-o-faqih teri aankhon se kahin koi bacha hai saqi waqif-e-raaz hai mai-khana-e-hasti ka 'naim' us ke honton pe magar qufl-e-wafa hai saqi