karna jo mohabbat ka iqrar samajh lena ek bar nahin us ko sau bar samajh lena hum hon ki adu us mein jo zulm ka shaki ho karta hi nahin tum ko wo pyar samajh lena mar jae magar jaana us ki na ayaadat ko tum jis ko mohabbat ka bimar samajh lena ban ban ke bigadta hai wo kaam mohabbat mein aasan nahin jis ko dushwar samajh lena ghaflat-kada-e-hasti jab kahte hain aalam ko sauda hai phir apne ko hushiyar samajh lena mahfil mein raqibon ki jaana hai agar tum ko surat se mujhe apni bezar samajh lena dil par to lagate ho tum tir-e-nazar lekin aahon ko hamari bhi talwar samajh lena chheda jo mere aage phir tazkira-e-dushman rakkhi hui hai mujh se takrar samajh lena poshida 'hafiz' is mein asrar-e-mohabbat hain aasan nahin mere ashaar samajh lena