karna pada tha jis ke liye ye safar mujhe wo mauj-e-shauq chhod gai ret par mujhe aadab-e-bazm ke siwa kuchh aur to na tha mahfil mein us ne pan diye khas kar mujhe lauta hun phir wo jism ki viraniyan liye hasrat se dekhte hain ye diwar-o-dar mujhe bazar ka to hosh hai lekin nahin ye yaad kal raat kaun chhod gaya mere ghar mujhe aaankhon ka nur sine mein mahfuz kar liya is shahr mein jo hona pada be-basar mujhe is ke siwa ye raaz bhala kaun jaanta wo sab ko galiyon se nawaze magar mujhe