mohabbat kya mohabbat ka sila kya

mohabbat kya mohabbat ka sila kya
gham-e-barbaadi-e-jins-e-wafa kya

dil-e-be-muddaa ka muddaa kya
hamara haal hum se puchhna kya

hamein duniya mein apne gham se matlab
zamane ki khushi se wasta kya

sitam-ha-e-farawan chahta hun
karam ki aarzu kya iltija kya

hum us ke aur us ka gham hamara
is andaz-e-karam ka puchhna kya

raha dil ko na ab zauq-e-sitam kyun
wo hain aamada-e-tark-e-jafa kya

tere gham ke sahaare ji rahe hain
hamari aarzu kya muddaa kya

bahaaron par khizan sarf-e-asar hai
maal-e-ghunch-o-gul dekhna kya

talluq aur tere gham se talluq
uruj-e-bakht-e-'akhtar' puchhna kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close