karta hai bagh-e-dahr mein nairangiyan basant aaya hai lakh rang se ai baghban basant ham-rang ki hai dun nikal ashrafi ke sath pata hai aa ke rang-e-talai yahan basant joban par in dinon hai bahaar-e-nashat-e-bagh leta hai phul bhar ke yahan jholiyan basant mubaf zard rang hai sumbul ki chot mein khota hai bu-e-gul ki pareshaniyan basant nawwab-e-nam-dar 'zafar-jang' ke huzur gati hai aa ke zohra-e-gardun-makan basant jam-e-aqiq zard hai nargis ke hath mein taqsim kar raha hai mai-e-arghawan basant hote hain tairan-e-chaman nargisi kabab kah do ki is qadar na kare garmiyan basant chehre tamam zard hain daulat ke rang se kothi mein ho gaya hai sarapa ayan basant nila hua hai munh gul-e-sausan ka bagh mein leta hai ikhtilat mein kya chutkiyan basant kadwe dhare hue hain jo nawwab ke huzur bahar hai apne jame se ai baghban basant pukhraj ke gilason mein hai lala-gun sharab sone ka pani pi ke hai ratab-ul-lisan basant sarson jo phuli dida-e-jam-e-sharab mein bint-ul-anab se karne laga shokhiyan basant zer-e-qadam hai farsh-e-basanti huzur ke masruf pa-e-boss mein hai har zaman basant main gard-posh ho ke bana shakh-e-zafaran lipta hua hai mere badan se yahan basant karta hun ab tamam dua par ye chand sher aaya pasand majma-e-ahl-e-zaman basant jab tak ki mahw-e-qahqaha hun gul hazar mein rangin tar hai sifat-e-zafaran basant yarab hazar sal salamat rahen huzur ho roz jashn-e-id yahan jawedan basant ahbab surkh-ru rahen dushman hon zard-ru jab tak manaen mardum-e-hindostan basant zardi ki tarah baiza-e-bulbul mein chhup rahe is bagh se na jae miyan-e-khizan basant taqdir mein thi furqat-e-yaran-e-lucknow is shahr mein 'munir' kahan tha kahan basant