kisi ko zahr dunga aur kisi ko jam dunga main apne jaan-nisaron ko yahi inam dunga andhere mein damak uthte hain jitne bhi sitare agar fursat mili to main unhen kuchh nam dunga kisi tarik mitti par mujhe bhi sath rakhna ki main tujh ko kisi mushkil ghadi mein kaam dunga thaka-haara hun tanha hun magar ye baat tai hai main tohfe mein tujhe ek roz mulk-e-sham dunga dukan-e-aslaha se main ne jo shamshir li hai main us ke dam puchhunga na us ke dam dunga mujhe har roz kahta hai ye baat ab mera beta tujhe main is budhape mein bahut aaram dunga