karta hai wo jafa to kare main wafa karun yun apni dosti ka fariza ada karun us ka shiar wo hai ye mera shiar hai us ki jafa ke nam main apni wafa karun us ka kabhi jawab na aaya na aaega ye jaante hue bhi use khat likha karun wade pe us ke aane ke ghar ko saja liya ab us ke baad bhi na wo aae to kya karun ek lamha meri samt ko wo multafit to ho wo haal-e-dil sune to bayan muddaa karun ki us ne har qadam pe jafaon ki intiha main bhi na kyun wafaon ki phir intiha karun jis ne meri hayat ko tarik kar diya phir bhi main us ki rah mein raushan diya karun wo hai jo mere qatl ka saman kiye hue mera nahin shiar ki main bad-dua karun ghaalib ki ye zamin hai 'shaeq' khuda-gawah kyun kar main is zamin ka rutba siwa karun