mera diwangi par is qadar maghrur ho jaana ki rafta rafta hadd-e-agahi se dur ho jaana pata deta hai gumrahi-e-rahgir-e-mohabbat ka bichhadna aur bichhad kar qafile se dur ho jaana kahin duniya-e-ulfat ko tah-o-baala na kar dale ghurur-e-husn ke aain ka dastur ho jaana azal se tira-bakht-e-ishq ke hisse mein aaya hai shab-e-gham-e-dil ka jal jal kar charagh-e-tur ho jaana meri danist-e-naqis mein kamal-e-khud-numai hai zamin se aasman tak aap ka mashhur ho jaana kisi ka jashn-e-azadi manana hai bahut aasan magar dushwar hai ghaarat-gar-e-jamhur ho jaana ragon ka khun rafta rafta thanda ho chala 'maikash' mere dard-e-jigar ko aa gaya kafur ho jaana