karta main ab kisi se koi iltimas kya marne ka gham nahin hai to jine ki aas kya jab tujh ko mujh se dur hi rahna pasand hai sae ki tarah rahta hai phir aas-pas kya tujh se bichhad ke hum to yahi sochte rahe ye gardish-e-hayat na aaegi ras kya ab tark-e-dosti hi taqaza hai waqt ka tera qayas gar hai yahi to qayas kya mana ki tera milna hai mushkil bahut magar har lamha tut jae ab aisi bhi aas kya ek umr ho gai hai yahi sochte hue apni kitab-e-zist ka hai iqtibas kya 'nadir' kahin to sair ko bahar bhi jaiye har-dam kisi ki yaad mein rahna udas kya