karte hue tawaf-e-KHayalat-e-yar main

karte hue tawaf-e-khayalat-e-yar main
phir aa gaya hun zabt ki duniya ke par main

duniya ko dikh rahi hai to zinda-dili meri
patthar pe sar patakta hua aabshaar main

chaalakiyan dhari ki dhari rah gain meri
khub us ke aage ho raha tha hoshiyar main

yun to zara si baat hai par baat hai badi
tu mera gham-gusar tera gham-gusar main

kal tha jo aaj bhi wahi 'tarkash-pardip' hun
dilli mein aa ke bhi nahin badla ganwar main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close