qabiz raha hai dil pe jo sultan ki tarah aakhir nikal gaya shah-e-iran ki tarah zahir mein sard o zard hai kaghan ki tarah lekin mizaj us ka hai multan ki tarah raaz-o-niyaz mein bhi akad-fun nahin gai wo khat bhi likh raha hai to chaalan ki tarah luqma halal ka jo mila ahl-kar ko us ne chaba ke thuk diya pan ki tarah zikr us pari-jamal ka jab aur jahan chhida fauran raqib aa gaya shaitan ki tarah ek lamha us ki did hui bas ki bhid mein aur phir wo kho gaya mere ausan ki tarah main mubtala-e-qarz raha chaar sal tak wo sirf chaar din raha mehman ki tarah har baat ke jawab mein fauran nahin nahin nikla zaban-e-yar se gardan ki tarah 'shahid' se kah rahe ho ki roze rakha kare har mah jis ka guzra hai ramzan ki tarah