karte phirte hain ghazalan tera charcha sahab hum bhi nikle hain tujhe dekhne sahra sahab ye kuchh aasar hain ek khwab-shuda basti ke yahin bahta tha wo dil nam ka dariya sahab tha yahi haal hamara bhi magar jagte hain kya ajab khwab sunaya hai dobara sahab sahal mat jaan ki tujh rukh pe khuda hote hue dil hua jata hai gard-e-rah-e-duniya sahab hum na kahte the ki us ko nazar-andaz na kar aaina tut gaya dekh liya na sahab yun hi din dub raha ho to khayal aata hai yun hi duniya se guzar jate hain kya kya sahab aabshaaron ki jagah dil mein kisi ke shab-o-roz khak udti ho to wo khak likhega sahab sach kaha aap ki duniya mein hamara kya kaam hum to bas yunhi chale aae the achchha sahab tum to kya ishq-e-bala-khez ke aage bahar mir sahab hain badi chiz na mirza sahab