karte rahen wabasta un se chahe jo afsane log ishq mein ruswai ki parwa karte hain kab diwane log kis ko sadaen deta hai tu shahr-e-tamanna mein ai dil kaun yahan hai tera sathi sabhi to hain begane log kis ko sunaen haal-e-tabahi kis ko dikhaen zakhm-e-jigar daur-e-sitam hai rahm kahan ab zulm ke hain diwane log shaikh-o-barahman ki baaton mein dair-o-haram ke jhagde hain chaal mein in ki phir kyun aaen hum jaise mastane log faiz-e-junun se jag utha hai aaj muqaddar sahra ka phul khilate hain is mein bhi dekhiye kuchh diwane log bachte hue sab se aae the mahfil-e-zindan ki jaanib mil hi gae uf hum ko yahan bhi kuchh jaane pahchane log ahl-e-junun ke faiz se kashfi duniya mein bedar hi hai baat pate ki kah dete hain akasr ye diwane log