karun bayan agar uski bewafai ka

karun bayan agar us ki bewafai ka
zaban se nam na le koi aashnai ka

na ishwa-sazi na ghamze na naz phulon mein
hai sada husn mein andaz dilrubai ka

badan se jaan nikalti hai ye khabar de kar
kabhi hai wasl ka mausam kabhi judai ka

hua halak jo habil to kiya kis ne
shurua-e-dahr se qatil hai bhai bhai ka

habab sath pe aate hi phut jate hain
jigar-kharash hai anjam khud-numai ka

jahan mein koi kisi ki khabar nahin leta
sunaun haal kise apni be-nawai ka

dikha ke aaina kah do ki main muqabil bhi
buton ke munh se ho dawa agar khudai ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close