jab tera iltifat ho jae qaid-e-gham se najat ho jae tu pilae jo apne hathon se zahr aab-e-hayat ho jae jalwa-e-rukh se ho sahar paida zulf bikhre to raat ho jae ghuncha-e-dil khile jo tujh ko sunun muskurahat se baat ho jae daulat-e-husn hai haya bhi karo yun ada-e-zakat ho jae tum agar mere khwab mein aao shab meri shab-baraat ho jae