karun jo koshish to tujh diye ko jala hi lunga

karun jo koshish to tujh diye ko jala hi lunga
mujhe yaqin hai main tujh ko apna bana hi lunga

jahan zamane ki talkhiyon ko main jhelta hun
wahan main tere bhi chaar nakhre utha hi lunga

ye meri apni hi dhil hai ya khafa hai tu bhi
main jab manane pe aa gaya to mana hi lunga

main manta hun ki main musawwir nahin hun koi
tumhaari aankhen to yar lekin bana hi lunga

mere kiye par tamam ganw ke log khush the
mujhe yaqin hai main sab gharon se dua hi lunga

charagh sare ke sare be-shak na bach sake par
main apne hisse ka ek diya to bacha hi lunga

mujhe bithane ki tujh ko koi na fikr hogi
main aa gaya hun to phir jagah bhi bana hi lunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close