kitna main aur chal ke dikhaun mere khuda dukhne lage hain ab mere panw mere khuda har pal ki dhup mere badan ko jala na de likh de mere nasib mein chhanw mere khuda phir kya mujhe parinde bana lenge apna dost ghar mein agar main ped lagaun mere khuda har shakhs apne aap mein gum ho ke rah gaya aise mein ab main kis ko bulaun mere khuda soe nahin ye log to murda hain sab ke sab in ko bata main kaise jagaun mere khuda tujh ko ye nagawar guzarna hai warna main shikwa karun tamasha lagaun mere khuda koshish yahi hai meri jahan bhi andhera ho pahla diya wahan main jalaun mere khuda