karun jo tanqid zulmaton par to aaega harf hikmaton par futur-e-millat junun-e-mazhab ye raqs karte hain wahshaton par shuur-e-insan pal raha hai khuda ki basti mein nafraton par ye sazishon ke muhib sae hain chhae sadiyon se ulfaton par ye raqs kaisa hai jaan-o-tan mein hun mahw-e-hairat mohabbaton par mahak uthi hain fazaen sari hai kaisi barsat parbaton par 'shafaq' bahaya na ek bhi aansu dilon pe tuti qayamaton par