karwan der se tayyar hai jaane ke liye

karwan der se tayyar hai jaane ke liye
hum hi baithe hain koi sog manane ke liye

ye to ab khatm hui yaad hi karte karte
dusri umr mile tujh ko bhulane ke liye

jis ne zulmat mein hamein chhod diya tha tanha
aa gaya shama wo turbat pe jalane ke liye

bich mahfil mein tamasha mujhe karna hi pada
us ko paiman-e-wafa yaad dilane ke liye

kahkashan phul dhanak sab hain magar duniya mein
rang kam hain teri taswir sajaane ke liye

ishq mein apne unhen dawa-e-wahsaht bhi hai
aur baithe hain gareban silane ke liye

raaz kuchh bhi nahin hai ghair ki baaton mein na aa
sab bahane hain tujhe pas bithane ke liye

kya tera hoga zamana ye hua hai kis ka
tu ne kyon chhod diya mujh ko zamana ke liye

is qadar ruh mein shamil thi kahani us ki
mujh ko mitna hi pada us ko mitane ke liye

wa-e-qismat ke use ab hai wafa ki hasrat
jab marasim hi nahin koi nibhane ke liye

kunj-e-zindan mein phir nikhat-e-gul phail gai
phir bahaar aa gai bulbul ko rulane ke liye

khwab bhi aankh mein bedar hue jate hain
kaun aaya hai mujhe sham sulane ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close