KHud ke sae se bhi hairan nazar aata hai

khud ke sae se bhi hairan nazar aata hai
apne ghar mein bhi wo mehman nazar aata hai

kis ka chehra hai jo be-sakhta hota hai ayan
khwab bhi aankh mein hairan nazar aata hai

us ne bhi koi khabar ghar ke ujadne ki na li
jis ki chhat se mera dalan nazar aata hai

aamad-e-yar mein tasir bahaaron si hai
chehra chehra jo gulistan nazar aata hai

kisi nadan ne phir zikr-e-wafa chheda hai
yar mahfil mein pareshan nazar aata hai

mil raha hai wo bahut pyar se ai dil mohtat
ek nae dard ka unwan nazar aata hai

main bhi masrur nahin us se kinara kar ke
wo bhi us or pasheman nazar aata hai

zindagi yaad dilati hai judai teri
sans lene ka jo imkan nazar aata hai

rukh badal leta hai be-sakhta rahbar mera
jab bhi rasta koi aasan nazar aata hai

hain yahan qaid kai yaad ke bekas panchhi
apna kamra mujhe zindan nazar aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close