karwan sust rahbar khamosh kaise guzrega ye safar khamosh tujhe kahna hai kuchh magar khamosh dekh aur dekh kar guzar khamosh yun tere raste mein baitha hun jaise ek sham-e-rahguzar khamosh tu jahan ek bar aaya tha ek muddat se hai wo ghar khamosh us gali ke guzarne walon ko takte rahte hain baam-o-dar khamosh uth gae kaise kaise pyare log ho gae kaise kaise ghar khamosh ye zamin kis ke intizar mein hai kya khabar kyun hai ye nagar khamosh shahr sota hai raat jati hai koi tufan hai parda-dar khamosh ab ke beda guzar gaya to kya hain abhi kitne hi bhanwar khamosh chadhte dariya ka dar nahin yaro main hun sahil ko dekh kar khamosh abhi wo qafile nahin aae abhi baithen na ham-safar khamosh har-nafas ek payam tha 'nasir' hum hi baithe rahe magar khamosh