na hasil hua sabr-o-aram dil ka na nikla kabhi tum se kuchh kaam dil ka mohabbat ka nashsha rahe kyun na har-dam bhara hai mai-e-ishq se jam dil ka phansaya to aankhon ne dam-e-bala mein magar ishq mein ho gaya nam dil ka hua khwab ruswa ye ishq-e-butan mein khuda hi hai ab mere badnam dil ka ye banki adaen ye tirchhi nigahen yahi le gain sabr-o-aram dil ka dhuan pahle uthta tha aaghaz tha wo hua khak ab ye hai anjam dil ka jab aaghaz-e-ulfat hi mein jal raha hai to kya khak batlaun anjam dil ka khuda ke liye pher do mujh ko sahab jo sarkar mein kuchh na ho kaam dil ka pas-e-marg un par khula haal-e-ulfat gai le ke ruh apni paigham dil ka tadapta hua yun na paya hamesha kahun kya main aaghaz-o-anjam dil ka dil us be-wafa ko jo dete ho 'akbar' to kuchh soch lo pahle anjam dil ka