karwan walon ne kho di khud hi apni aabru laila-e-mahmil-nashin ko pa-ba-jaulan lae hain qais ki ghairat ka milta hi nahin koi suragh kuchh bagule dhund kar sahra-ba-sahra aae hain das liya hai raushni ne de ke jawon ka fareb sanp kitne us ke ujle rup mein lahrae hain aaine tute hain kitne dekh kar un ka jamal aap apni aarzu-e-husn par sharmae hain kaun jaane ho chuke maslub kitne ashk-e-gham kitni fariyaadon ke dil husn-e-talab ne dhae hain kitni zanjiron ke halqe payalon mein dhal gae shabnami aankhon mein raqsan bebasi ke sae hain 'bakht' shikwa kya karen ahl-e-sitam ke jaur ka ahl-e-dil ne git marg-e-abru par gae hain