jahan jahan hai sahar ka aalam wahin wahin raushni nahin hai hazar shamen huin hain raushan magar kahin raushni nahin hai na mujh ko bahkao in ujalon ki mehr-afroz rangton se fareb hai ye kisi kiran ka nahin nahin raushni nahin hai hamara zauq-e-nigah ab tak hai gumrahi ki naqab odhe ajab tamasha hai tere jalwon mein mah-jabin raushni nahin hai jahan pe suraj chamak raha hai wahin pe zulmat baras rahi hai main kyun na zulmat se pyar kar lun ki dil-nashin raushni nahin hai nae ujale udas ruhen nae sawere bujhe hue hain ye ek dhoka hai raushni ka dil-e-hazin raushni nahin hai charagh-e-khufta charagh-e-raushan se jagmagata raha hamesha maqam-e-hasti ke in andheron pe khashmagin raushni nahin hai badhe hain manzil ki samt hum bhi shua-e-'bakht'-e-jamil le kar hamein taraddud nahin hai koi agar kahin raushni nahin hai