kas kar bandhi gai ragon mein dil ki girah to dhili hai us ko dekh ke ji bhar aana kitni badi tabdili hai zinda rahne ki khwahish mein dam dam lau de uthta hun mujh mein sans ragad khati hai ya machis ki tili hai un aankhon mein kudne walo tum ko itna dhyan rahe wo jhilen payab hain lekin un ki tah pathrili hai kitni sadiyan suraj chamka kitne dozakh aag jali mujhe banane wale meri mitti ab tak gili hai zinda hun to mujhe bataen nile honton wale log mera kaisa rang karegi baat jo main ne pi li hai mumkin hai ab waqt ki chadar par main karun rafu ka kaam jute main ne ganth liye hain guddi main ne si li hai