khabar nahin kai din se wo diq hai ya khush hai khushi tabhi ho ki jab sun lun dil-ruba khush hai zara bhi bigde to bigde zamana sab mujh se khushi hai wo to har ek dost aashna khush hai pada hun jab se ki bimar ho ke main ghar mein har ek ghair adawat se phirta kya khush hai magar hai us ki inayat to gham nahin kuchh bhi wo mujh se khush rahe bas phir to dil mera khush hai main ek gham nahin sau jaan par utha lunga mere satane se kah de ki dil tera khush hai sabab to kuchh nahin malum hae kya main karun wo aap hi aap kai din se mujh se na-khush hai wo baat kaun si hai jo nahin samajhte hum fareb de ke hamein kyun tu bewafa khush hai 'nizam' kaun sa din ho jo wan pe jaun main kahen wo hans ke mizaj ab to aap ka khush hai