kasak dil ki miTane mein zara si der lagti hai

kasak dil ki mitane mein zara si der lagti hai
kisi ka gham bhulane mein zara si der lagti hai

kisi ko chah kar apna banana thik hai lekin
mohabbat aazmane mein zara si der lagti hai

tumhein pane ki khwahish mein hua ehsas ye mujh ko
muqaddar aazmane mein zara si der lagti hai

jise minnat muradon se badi mushkil se paya ho
use dil se bhulane mein zara si der lagti hai

ki jis dil ki zamin barson se banjar ho to phir us par
nai chahat ugane mein zara si der lagti hai

ghazal padh kar to aasani se mahfil lut sakte ho
magar izzat kamane mein zara si der lagti hai

dil-e-muztar ko aakhir kaun samjhaega ai 'rahi'
sukun-e-qalb pane mein zara si der lagti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close