kase kajawe mahmalon ke aur jaga raat ka tara bhi chhod di basti naqon ne khamosh hua naqqara bhi chand si aankhen khel rahi thin surkh pahad ki oton se purab or se tak raha tha uth kar abr ka para bhi qafile gard-e-safar mein dube, ghantiyon ki aawaz ghuti aakhiri unt ki pusht pe dala raat ne siyah gharara bhi shahr ke chauk mein virani hai aag bujhi, andher hua rakh saron mein dal ke baithe, aaj tere aawara bhi koi na rasta nap saka hai, ret pe chalne walon ka agle qadam par mit jaega pahla naqsh hamara bhi