jab zabanon mein yahan sone ke tale pad gae dudhiya chehre the jitne wo bhi kale pad gae dubne se pahle suraj ke nikal aata hai chand hath dho kar sham ke pichhe ujale pad gae bulbule pani pe mat samjho hawaen qaid hain sans lene ke liye maujon ko lale pad gae jab se us par ek chullu pyas ke shoale gire tab se sare jism mein dariya ke chhaale pad gae kya bata paengi wo manzar ka pas-e-manzar hamein khud-numai kar ke jin aankhon mein jale pad gae